dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf
jun said waqt zabah ke sayyaad ki taraf
ne dana hum qayas kiya ne lihaz-e-dam
dhans gae qafas mein dekh ke sayyaad ki taraf
sabit na howe KHun mera roz-e-baz-purs
bolenge ahl-e-hashr so jallad ki taraf
patthar ki lekh tha suKHan us ka hazar haif
boli zaban-e-tesha na farhad ki taraf
turra ke tere waste sad-chob-e-shan-a-dar
qumri gai hai kaTne shamshad ki taraf
'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf
Ghazal
Dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf
Sauda Mohammad Rafi