dekhte jate hain namnak hue jate hain
kya gulistan KHas-o-KHashak hue jate hain
ek ek kar ke wo gham-KHwar sitare mere
gham sar-e-wusat-e-aflak hue jate hain
KHush nahin aaya KHizan ko mera uryan hona
zard patte meri poshak hue jate hain
dekh kar qarya-e-viran mein zamistan ka chand
sham ke sae alam-nak hue jate hain
zulm sab ahl-e-zamin par hain zamin walon ke
hum abas dushman-e-aflak hue jate hain
dida-e-tar se mayassar tha hamein dil ka gudaz
qaht-e-girya hai to saffak hue jate hain
kuza-gar ne hamein miTTi se kiya tha taKHliq
kya tajjub hai agar KHak hue jate hain
kaisi ibrat hai ki is kashmakash-e-rizq mein hum
apne hi rizq ki KHurak hue jate hain
Ghazal
Dekhte jate hain namnak hue jate hain
Farasat Rizwi