اردو हिंदी
Dekhta bhi hai dekhta bhi nahin | Shaahi Shayari
dekhta bhi hai dekhta bhi nahin

Ghazal

Dekhta bhi hai dekhta bhi nahin

Maher Chand Kausar

;

dekhta bhi hai dekhta bhi nahin
jaise wo mujh ko jaanta bhi nahin

kis tarah aaj KHud ko pahchanun
mere ghar mein to aaina bhi nahin

dhak thi sare shahr mein jis ki
ab use koi puchhta bhi nahin

pichhe muDne mein KHauf-e-ruswai
aage jaane ka rasta bhi nahin

rose KHabron mein nam aata hai
shahr mein koi jaanta bhi nahin

ghair se puchhta hai haal mera
main bulaun to bolta bhi nahin

us ko nikla hun DhunDne 'kausar'
jis ka koi ata-pata bhi nahin