dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai 
aadhi raat wo pagal aa bhi sakta hai 
yun jo uDta phirta hai tere sar par 
pairon mein ye aanchal aa bhi sakta hai 
rakh ke Dher mein aag chhupi bhi hoti hai 
KHali aankh mein kajal aa bhi sakta hai 
lazim hai kya sab ki pyas ho ek jaisi 
ho kar koi jal-thal aa bhi sakta hai 
itne moD safar mein dekh chuka hun 'shaz' 
mere KHayalon mein bal aa bhi sakta hai
        Ghazal
Dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai
Zakariya Shaz

