dekhe kahin mujh ko to lab-e-baam se haT jae
is waza se us ki mera dil kyunki na phaT jae
aa jae kahin baad ka jhonka to maza ho
zalim tere mukhDe se dupaTTa jo ulaT jae
ai nala-e-jaan-kah bahut ho chuki bas kar
Darta hun kahin nind kisi ki na uchaT jae
dekhe kahin raste mein khaDa mujh ko to zid se
aata ho idhar ko to udhar hi ko palaT jae
chal baiTh 'nisar' ek taraf KHalq se hokar
niklega wo ghar se pa kahin bhiD to chhaT jae
Ghazal
Dekhe kahin mujhko to lab-e-baam se haT jae
Mohammad Amaan Nisar