dekhe hain jo gham dil se bhulae nahin jate
ek umr hui yaad ke sae nahin jate
ashkon se KHabar-dar ki aaankhon se na niklen
gir jaen ye moti to uThae nahin jate
har jumbish-e-daman-e-junun jaan-e-adab hai
is rah mein aadab sikhae nahin jate
hum bhi shab-e-gesu ke ujalon mein rahe hain
kya kijiye din pher ke lae nahin jate
shikwa nahin samjhae koi chaaragaron ko
kuchh zaKHm hain aise ki dikhae nahin jate
ai dast-e-jafa sar hain ye arbab-e-wafa ke
kaT jaen to kaT jaen jhukae nahin jate
ai 'hosh' gham-e-dil ke charaghon ki hai kya baat
ek bar jala do to bujhae nahin jate
Ghazal
Dekhe hain jo gham dil se bhulae nahin jate
Hosh Tirmizi