dekha ki chale jate the sab shauq ke mare
mashuq ke pahlu mein shab-e-hijr guzare
hum hain ki hue halqa-e-zanjir-e-mohabbat
baqi to gae chhuT giraftar tumhaare
hum chahne walon ka nahin koi Thikana
hain aaj sar-e-najd to kal taKHt hazare
aa pahunche kahan justuju-e-yar mein is bar
mil jae to chal bhi na sake sath hamare
sakin ho yahan koi to us se koi puchhe
main ghum raha hun ki hain gardish mein sitare
bas dekh chuke KHub wo pasti ye bulandi
is charKH se ab jald hamein koi utare
Ghazal
Dekha ki chale jate the sab shauq ke mare
Mohammad Aazam