اردو हिंदी
Dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf | Shaahi Shayari
dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

Ghazal

Dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

Qayem Chandpuri

;

dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf
karta raha tu apni hi bedad ki taraf

jis gul ne sun ke nala-e-bulbul uDa diya
rakhta hai gosh kab meri fariyaad ki taraf

mund ai par-e-shikasta na chaak-e-qafas ki hum
Tuk yan ko dekh lete hain sayyaad ki taraf

kahte hain girya KHana-e-dil kar chuka KHarab
aata hai chashm ab teri buniyaad ki taraf

lijo KHabar mere bhi dil-e-zar ki nasim
jawe agar tu us sitam-abaad ki taraf

'qaem' tu is ghazal ko yunhi sarsari hi kah
hona paDega hazrat-e-ustad ki taraf