dekha jo saya shab mein ye samjha nigah ne 
shayad wo aaj aa gae wada nibahane 
viran si is nawah mein aata hi kaun tha 
aabaad kar diya hai ise qatl-gah ne 
un qatilon pe kaun muqadma chalaega 
jin ko liya panah mein aalam-panah ne 
har baat pe jo mujh se ye kahte hain chup raho 
kya apne husn ko bhi na denge sarahne 
qaem unhin faqiron ke dam se thi saltanat 
jin ko kiya hai mulk-badar sarbarah ne 
achchha hua sahar ne ulaT di naqab-e-fikr 
bhaTka diya tha raat mujhe wah wah ne 
kaghaz agar siyah karen to karen harif 
suraj ugae hain meri fikr-o-nigah ne
        Ghazal
Dekha jo saya shab mein ye samjha nigah ne
Mahtab Alam

