dekh raha hai dariya bhi hairani se
main ne kaise par kiya aasani se
nadi kinare pahron baiTha rahta hun
kya rishta hai mera bahte pani se
har kamre se dhup hawa ki yari thi
ghar ka naqsha bigDa hai nadani se
ab sahra mein chain se soya karta hun
Dar lagta tha bachpan mein virani se
dil pagal hai rose pasheman hota hai
phir bhi baz nahin aata man-mani se
kam kam KHarch karo warna ye jazbe bhi
be-waqat ho jate hain arzani se
apna farz nibhana ek ibaadat hai
'alam' hum ne sikha ek japani se
Ghazal
Dekh raha hai dariya bhi hairani se
Alam Khursheed