dekh na is tarah guzar arsa-e-chashm se mujhe
fursat-e-did ho na ho mohlat-e-KHwab de mujhe
bas-ki guzishtani hai waqt bas-ki shikastani hai dil
KHwab koi dikha ki jo yaad na aa sake mujhe
KHam hi rakh ke puKHtagi shakl hai ek shikast ki
aatish-e-wasl ki jagah KHak-e-firaq de mujhe
han ai ghubar-e-ashna main bhi tha ham-safar tera
pi gain manzilen tujhe kha gae raste mujhe
der se ro nahin saka dur hun so nahin saka
gham jo rula sake mujhe sam jo sula sake mujhe

Ghazal
Dekh na is tarah guzar arsa-e-chashm se mujhe
Idris Babar