dekh in chiDiyon ko chiDiya-ghar na dekh
lauT mat pichhe ko yun muD kar na dekh
hathiyon ki piTh par baiTha hai din
sham se pahle koi manzar na dekh
apni diwaron se kuchh bahar nikal
sirf KHali ghar ke baam-o-dar na dekh
pattharon ke karb ko mahsus kar
mere sine par rakha patthar na dekh
kar gaya suraj sabhi ko be-libas
ab koi saya koi paikar na dekh
apni nangi chaarpai Dhanp le
us ke bistar ki dhuli chadar na dekh
farsh par be-lafz aawazon ko sun
hinhinati ghoDiyon ke sar na dekh
Ghazal
Dekh in chiDiyon ko chiDiya-ghar na dekh
Chandrabhan Khayal