dekh buniyaad rab ki aadam hai
jaan lega agar tu mahram hai
sab sifat us ki dekh le un mein
kah tu banda KHuda se kya kam hai
har nafas kyun kahen hain sahib-e-dam
ki jahan bich umr-e-do-dam hai
pas hai aur nazar nahin aata
mere wahshi mein is qadar ram hai
tere bande hain sab wale sab mein
banda-e-kamtarin 'hatam' hai
Ghazal
Dekh buniyaad rab ki aadam hai
Shaikh Zahuruddin Hatim

