اردو हिंदी
Dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai | Shaahi Shayari
dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai

Ghazal

Dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai

Obaid Siddiqi

;

dayar-e-KHwab se aage safar karne ka din hai
to kya ye qissa-e-jaan muKHtasar karne ka din hai

bulawa aa gaya hai phir mujhe sahra-nawardi ka
yahi to zindagi ko ham-safar karne ka din hai

mujhe raqs-e-junun karna paDega sham hone tak
mudaraat-e-hujum-e-dida-tar karne ka din hai

KHizan ki bad-hawasi us ke chehre se hai zahir
jahan ko mausam-e-gul ki KHabar karne ka din hai

ye KHashak-e-samaat KHak hona chahte hain
zaban ko aaj apni shola-gar karne ka din hai

hua hai didani manzar zamin se aasman ka
qafas mein aarzu-e-baal-o-par karne ka din hai