daur-e-mai hai magar surur nahin
jal rahe hain charagh nur nahin
choT khane ka shauq hai dil ko
nigah-e-naz ka qusur nahin
lakh aao na yun qarib mere
tum kisi waqt dil se dur nahin
dur duniya se hai maqam tera
mere zauq-e-nazar se dur nahin
main nahin tark-e-mai pe gar qadir
tu to majbur ai ghafur nahin
lutf kya den bahaar-o-abr ki jab
baada-e-zist mein surur nahin
baada-e-shauq dil se pi ai 'ashk'
shisha-o-jam kuchh zarur nahin

Ghazal
Daur-e-mai hai magar surur nahin
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali