daulat-e-haq mujh ko hasil ho gai hai
zindagi ab aur mushkil ho gai hai
ab nahin aasan duniya se guzarna
is ki parchhain muqabil ho gai hai
log manzil ki taraf lapke hain lekin
bhiD mein ghaflat bhi shamil ho gai hai
sath tufan-e-hawadis hai magar ab
zindagi nazdik-e-sahil ho gai hai
dusri duniyaon ki chahat mein dekho
meri duniya KHud se ghafil ho gai hai
din haqaeq se ulajhte kaT gaya phir
raat lekin nazr-e-baatil ho gai hai
jab kabhi lafzon ko main ne di sadaen
ek sada-e-ghaib nazil ho gai hai
Ghazal
Daulat-e-haq mujhko hasil ho gai hai
Chandrabhan Khayal