dastaras mein nahin haalat tujhe kya malum
ab zaruri hai mulaqat tujhe kya malum
raat ke pichhle pahar nind-shikan tanhai
kaise karti hai sawalat tujhe kya malum
tu ba-zid hai ki sar-e-am parastish ho teri
main hun paband-e-riwayat tujhe kya malum
jashn sawan ka yun baDh-chaDh ke manane wale
zulm kya Dhati hai barsat tujhe kya malum
shana-e-waqt pe ab zulf-e-pareshan ki tarah
bikhri rahti hai meri zat tujhe kya malum
silsila-war dahakte hain sahar hone tak
sar-e-mizhgan mare jazbaat tujhe kya malum
sada baaten thin 'KHayal' us ki magar un mein kai
chup the rangin KHayalat tujhe kya malum

Ghazal
Dastaras mein nahin haalat tujhe kya malum
Rafique Khayal