dastar-e-hunar baKHshish-e-darbar nahin hai 
sad shukr ki shanon pe ye sar bar nahin hai 
ab to ye makan qatl-gahen banne lage hain 
achchha hai wo jis ka koi ghar-bar nahin hai 
tahris-o-saza se nahin badlenge ye bayan hum 
ek bar nahin jab hai to har bar nahin hai 
har ek pe khul jae bila farq maraatib 
aisa ho to dahliz pe darbar nahin hai 
aa jae tawazun mein ye mahaul ki mizan 
insaf ke palDe mein magar bar nahin hai 
zulmat se nikal aaen chamakte hue raste 
par mashal-e-ehsas sharar-bar nahin hai 
hath aaega kya sahil-e-lab se hamein 'anjum' 
jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai
        Ghazal
Dastar-e-hunar baKHshish-e-darbar nahin hai
Anjum Khaleeq

