dasht mein jo bhi hai jaisa mera dekha hua hai
rasta us ke safar ka mera dekha hua hai
kis liye chiKHta chinghaDta rahta hai bahut
mauj-dar-mauj ye dariya mera dekha hua hai
waqt ke sath jo tabdil hua karta hai
aaina aaina chehra mera dekha hua hai
rang-o-roghan meri taswir ko dene wala
aab-e-shafaf hai kitna mera dekha hua hai
kis tarah tujh ko ye batlaun hawa ke jhonke
ret par likkha hai kya kya mera dekha hua hai
kis jagah kaun gaDa hai mujhe malum hai sab
is tere shahr ka naqsha mera dekha hua hai
raat ke baad sahar hoti hai raushan 'tanwir'
hai andhere mein ujala mera dekha hua hai
Ghazal
Dasht mein jo bhi hai jaisa mera dekha hua hai
Tanveer Samani