dasht mein hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag
hum mein hai shayad koi mahw-e-safar sab se alag
chalte chalte wo bhi aaKHir bhiD mein gum ho gaya
wo jo har surat mein aata tha nazar sab se alag
sab ki apni manzilen thin sab ke apne raste
ek aawara phire hum dar-ba-dar sab se alag
hai rah-o-rasm-e-zamana parda-e-be-gangi
darmiyan rahta hun main sab ke magar sab se alag
de ke aadat ranj ki hota hai mujh par mehrban
us sitamgar ne ye sikha hai hunar sab se alag
shahr-e-kasrat mein ajab ek rauzan-e-KHalwat khula
us ne jo dekha mujhe ek lamha bhar sab se alag
har koi shamil hua 'sarmad' julus-e-am mein
munh uThae chal diya hai tu kidhar sab se alag
Ghazal
Dasht mein hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag
Sarmad Sahbai