اردو हिंदी
Dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai | Shaahi Shayari
dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai

Ghazal

Dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai

Khalid Moin

;

dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai
hum ne bhi ishq ka aazar uThaya hua hai

sar-kashi mauj-e-hawa ki, ye kahan samjhegi
kis mashaqqat se diya hum ne jalaya hua hai

kaise gulfam kahun, kaise sitara samjhun
wo badan aur hi miTTi ka banaya hua hai

mauj-e-KHushbu ki tarah hath na aane wale
hum ne ek sath bahut waqt bitaya hua hai

aap ise kasa-e-tashhir samajh baiThe hain
hum ne ek umr se ye zaKHm chhupaya hua hai

kash wo chashm-e-gurezan bhi kabhi jaan sake
hum ko kis KHwab ki wahshat ne jagaya hua hai