dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye
jo kabhi puri na ho aisi kami ban jaiye
raat-bhar rahiye mere hamrah nindon ki tarah
din chaDhe to lazzat-e-awargi ban jaiye
pahle to mujh ko ata kije wahi chehra mera
wo nahin to phir meri pahchan hi ban jaiye
tair-e-KHasta ki surat aap ko dekha karun
shaKH-e-sidra se utarti raushni ban jaiye
baiThe rahne se to lau dete nahin ye jism-o-jaan
jugnuon ki chaal chaliye raushni ban jaiye
Ghazal
Dasht-e-hairat mein sabil-e-tishnagi ban jaiye
Abbas Tabish