dasht-e-gham aur har shajar tanha 
raat soi hai be-KHabar tanha 
le ke phirta hun dar-ba-dar tanha 
teri yaadon ka ek nagar tanha 
so na jaun KHirad ke bistar par 
ai junun tujh ko chhoD kar tanha 
dil ke daman mein chubh gai aaKHir 
chalti-phirti hui nazar tanha 
yaad phir chiKHne lagi us ki 
mujh ko kamre mein jaan kar tanha 
chand ka dard mang le koi 
mujh ko rahna hai umr-bhar tanha
        Ghazal
Dasht-e-gham aur har shajar tanha
Muneer Saifi

