اردو हिंदी
Dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha | Shaahi Shayari
dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha

Ghazal

Dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha

Iftikhar Bukhari

;

dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha
zindagi bhagte guzri mujhe Dar aisa tha

sanp lipTe hue shaKHon se samar zahr-bhare
jis ke sae mein lagi aankh shajar aisa tha

raat bhar aag barasti hai hawa jalti hai
sochta hun mere KHwabon ka nagar aisa tha

aks-e-ummid bhi milta na tha sahraon mein
aankh tarsi thi sarabon ko safar aisa tha

DhunDhta hun use nindon se tahi raaton mein
hae wo shaKHs ki jo KHwab-e-sahar aisa tha

ab ki lauTa hun 'buKHari' to hun begana sa
mera is shahr se jaana to KHabar aisa tha