dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya
main faqat KHushbu se us ki taza-dam sa ho gaya
us ke hone se hua paida KHayal-e-jaan-faza
jaise ek murda zamin mein bagh paida ho gaya
phir hawa-e-ishq se aashuftagi KHuban mein hai
in dinon mein husn bhi aazar jaisa ho gaya
hai kahin mahsur shayad wo haqiqat ahd ki
jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya
gham raha hai haal kahna dil ka us but se 'munir'
jis ke gham mein apne dil ka haal aisa ho gaya
Ghazal
Dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya
Muneer Niyazi