dasht-dar-dasht chamakta raha dariya kaisa 
tujh ko dhoka hua ai dida-e-bina kaisa 
jagmagate hue shahron ko bhala kya malum 
chachahata hai daraKHton pe sawera kaisa 
dosto chhanw ghani dekh ke Thahra na karo 
bhagte abr ke TukDe ka bharosa kaisa 
karbala gher ke baiThi hain yazidi faujen 
bil-muqabil hai husain aaj akela kaisa 
raat jab dastaken darwaze pe deti hai 'munir' 
kanpne lagta hai dil KHauf se mera kaisa
        Ghazal
Dasht-dar-dasht chamakta raha dariya kaisa
Muneer Saifi

