dashna-e-dard har ek sans mein Thahra hoga
dil samundar hai to phir ghaw bhi gahra hoga
teri qurbat mein meri sans ghuTi jati hai
main ne socha tha tera jism bhi sahra hoga
mauj-e-KHun sar se guzar jaegi jis raat mere
rang-e-pairahan-e-shab aur bhi gahra hoga
chal paDe hain abhi jis par ye safiran-e-bahaar
kisi bajti hui zanjir ka lahra hoga
KHushk patton pe chale jaise koi sham-e-KHizan
ab teri yaad ka yun jism pe pahra hoga
kya KHabar thi ye giran-goshi ka bais hogi
shahr ka shahr sada par meri bahra hoga
hijr ki aag mein baDhti hai 'musawwir' tab-o-tab
zahr-e-tanhai se rang aur sunahra hoga
Ghazal
Dashna-e-dard har ek sans mein Thahra hoga
Musavvir Sabzwari