dars-e-adab-e-junun yaad dilane wale
aa gae phir meri zanjir hilane wale
kis tarah khoe gae aks-e-rawan ki surat
shahr-e-hairan mein tera khoj lagane wale
ghaur se dekh koi hai pas-e-taswir-e-KHizan
warna kis samt gae rang jamane wale
KHam-e-mehrab pe sadiyon ki siyah gard bhi dekh
taq-e-viran mein lahu apna jalane wale
zahr ab zahr hai karta nahin kar-e-tiryak
mar gae zahar ko tiryak banane wale
fasl-e-be-barg kuchh aisi bhi to be-rang nahin
dastan ahd-e-bahaaran ki sunane wale
daf-e-gul TuT gai dast-e-saba mein lekin
raqs karte hi rahe wajd mein aane wale
bujh gae shoKH darichon mein damakte mahtab
so gae raat ki taqdir jagane wale
sochta hun ki ye mamura-e-gham ye duniya
kis liye tu ne banai hai banane wale
Ghazal
Dars-e-adab-e-junun yaad dilane wale
Aslam Ansari