dariya mein Dub jawe ki ya chah mein paDe
ai ishq par na koi teri rah mein paDe
mat puchh jaur-e-gham se dil-e-na-tawan ka haal
bijli to dekhi hogi kabhi kah mein paDe
ek dam bhi dekh sakta nahin hum ko us ke pas
KHak us falak ke dida-e-bad-KHwah mein paDe
jo dosti ke nam se rakhta ho dushmani
diwana ho jo us ki koi chah mein paDe
aa ja kahin shitab ki manind-e-naqsh-e-pa
takte hain rah teri sar-e-rah mein paDe
jalwe do-chand howen shab-e-mah ke abhi
us mah-ru ka aks agar mah mein paDe
sulge hai nim-soKHta jaise dhuen ke sath
jalte hain yun hum apni 'hasan' aah mein paDe
Ghazal
Dariya mein Dub jawe ki ya chah mein paDe
Meer Hasan