اردو हिंदी
Dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega | Shaahi Shayari
dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega

Ghazal

Dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega

Shahzad Ahmad

;

dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega
rah jaunga main aur koi mujh sa na rahega

aaseb nazar aate hain din ko bhi yahan par
is shahr mein ab koi akela na rahega

achchha hai na dekhenge na mahsus karenge
aankhen na rahengi to tamasha na rahega

wo KHak uDegi ki na dekhi na suni ho
diwana to kya chiz hai sahra na rahega

ye anjuman-arai hai ek raat ki mehman
ta-subh koi dekhne wala na rahega

tu kuchh bhi ho kab tak tujhe hum yaad karenge
ta-hashr to ye dil bhi dhaDakta na rahega

kya kya nazar aata tha ki maujud nahin hai
ye soch ke rota hun ki kya kya na rahega

aaKHir mere sine ke bhi nasur bharenge
ye bagh sada rang dikhata na rahega

hun zarra-e-nachiz mujhe kal ki nahin fikr
mashhur jo hain nam unhi ka na rahega

'shahzad' bahut KHwar kiya ham-suKHani ne
kuchh din dar-o-diwar se yarana rahega