dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad
hum to jalte hain charaghon ki tarah sham ke baad
bas yahi soch ke akasr main laraz jata hun
jaane kya hoga mera hashr ke hangam ke baad
ishq kar baiThe magar hum ne ye socha hi nahin
KHak ho jaenge hum ishq ke anjam ke baad
likh ke kaghaz pe tera nam qalam toD diya
koi bhaya hi nahin mujh ko tere nam ke baad
gham ke sailab mein phir bah gaya maskan mera
chain paya hi tha ek barish-e-alam ke baad
mere qatil ne meri lash pe dam toD diya
wo pasheman tha bahut qatl ke ilzam ke baad
hum ne sikha hai hunar fath-o-zafaryabi ka
azm apna hai jawan koshish-e-nakaam ke baad
sang-sari-o-malamat hue ab apne nasib
hum to barbaad hue kucha-e-asnam ke baad
kya KHizan aai ki barbaad hua sara chaman
rah gai aah-o-fughan gulshan-e-gulfam ke baad
Ghazal
Dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad
Syed Mohammad Askari Arif