اردو हिंदी
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai | Shaahi Shayari
dard ki had se guzarna to abhi baqi hai

Ghazal

Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai

Rashid Kamil

;

dard ki had se guzarna to abhi baqi hai
TuT kar mera bikharna to abhi baqi hai

pas aa kar mera dukh-dard baTane wale
mujh se katra ke guzarna to abhi baqi hai

chand sheron mein kahan Dhalti hai ehsas ki aag
gham ka ye rang nikharna to abhi baqi hai

rang-e-ruswai sahi shahr ki diwaron par
nam 'rashid' ka ubharna to abhi baqi hai