dard ki dhup se chehre ko nikhar jaana tha
aaina dekhne wale tujhe mar jaana tha
rah mein aise nuqush-e-kaf-e-pa bhi aae
main ne danista jinhen gard-e-safar jaana tha
wahm-o-idrak ke har moD pe socha main ne
tu kahan hai mere hamrah agar jaana tha
aagahi zaKHm-e-nazara na bani thi jab tak
main ne har shaKHs ko mahbub-e-nazar jaana tha
qurbaten ret ki diwar hain gir sakti hain
mujh ko KHud apne hi sae mein Thahar jaana tha
tu ki wo tez hawa jis ki tamanna be-sud
main ki wo KHak jise KHud hi bikhar jaana tha
aankh viran sahi phir bhi andheron ko 'nasir'
raushni ban ke mere dil mein utar jaana tha
Ghazal
Dard ki dhup se chehre ko nikhar jaana tha
Naseer Turabi