dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo
wo nazar raaz hai us raaz ka charcha na karo
wusat-e-dasht mein diwane bhaTak jate hain
dosto aahu-e-ram-KHurda ka pichha na karo
tum muqaddar ka sitara ho mere pas raho
tum jabin-e-shab-e-namnak pe ubhra na karo
pas-e-diwar bhi diwar ka aalam hoga
tum yunhi rauzan-e-diwar se jhanka na karo
ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaro
jab hawa tez chale rah mein Thahra na karo
ya dil-o-dida ko tanwir-e-mohabbat baKHsho
ya dam-e-subh zamane mein ujala na karo
ye jahan-e-guzaran hath kise aaya hai
pichhe muD muD ke kisi shaKHs ko dekha na karo
bhagte lamhe ko kab rok saka hai koi
wo to ek saya hai sae ki tamanna na karo
sar salamat nahin rahte hain zaban kaTti hai
pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo
pyas bujhti hai kahan tapte bayabanon ki
meri aankhon meri aankho yunhi barsa na karo
zist hai tez-qadam aage nikal jaegi
tum kisi moD pe rukne ka irada na karo
kuchh idhar sae hain jo baDh ke lipaT jate hain
'aKHtar' is rah se ho kar kabhi guzra na karo
Ghazal
Dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo
Akhtar Hoshiyarpuri