dard ke sanche mein Dhal kar rah gai
zindagi karwaT badal kar rah gai
waqt-e-nazzara nigah-e-baryab
un ke jalwon mein machal kar rah gai
aankh mein aansu machal kar rah gae
mauj dariya mein uchhal kar rah gai
kya kiya ai bulbul-e-atish-nawa
aashiyan mein barq jal kar rah gai
un ka gham mujh ko wadiat ho gaya
sari duniya hath mal kar rah gai

Ghazal
Dard ke sanche mein Dhal kar rah gai
Arshi Bhopali