dard ka mere yaqin aap karen ya na karen
arz itni hai ki is raaz ka charcha na karen
lakh ghafil sahi par aise bhi hum kor nahin
ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ara na karen
aql-o-danish se to kuchh kaam na nikla apna
kab tak aaKHir dil-e-diwana ka kahna na karen
wo nigahen ajab andaz se hain ishwa-farosh
gham-e-pinhan ko hamare kahin ruswa na karen
tere aashufta-sar aise bhi nahin saudai
ki dil-o-din ke liye zulf ka sauda na karen
main ne behuda tawaqqo ki saza pai hai
kuchh KHayal aap meri hasrat-e-dil ka na karen
mere armanon ko kash itni samajh ho 'wahshat'
ki un aankhon se murawwat ka taqaza na karen
Ghazal
Dard ka mere yaqin aap karen ya na karen
Wahshat Raza Ali Kalkatvi