dard itna bhi nahin hai ki chhupa bhi na sakun
bojh aisa bhi nahin hai ki uTha bhi na sakun
yun samai hai in aankhon mein bata bhi na sakun
dil ki diwar pe taswir saja bhi na sakun
KHairiyat puchhte rahte ho magar haal ye hai
us ki aawaz mein aawaz mila bhi na sakun
aa mere pas zara sun ke bata kahti hai kya
dil ki dhaDkan jo sar-e-am suna bhi na sakun
jabr dekha tha magar aisa nahin dekha tha
aise pahre hain ki palken main uTha bhi na sakun
ungliyan chaak hua karti thin pahle 'sajid'
ab gae hath ki main hath mila bhi na sakun
Ghazal
Dard itna bhi nahin hai ki chhupa bhi na sakun
Sajid Hameed