dard-e-dil kuchh kaha nahin jata 
aah chup bhi raha nahin jata 
ru-ba-ru mere ghair se tu mile 
ye sitam to saha nahin jata 
shiddat-e-girya se main KHun mein kab 
sar se pa tak naha nahin jata 
har dam aane se main bhi hun nadim 
kya karun par raha nahin jata 
mana-e-girya kis ki KHu hai ki aaj 
aansuon se baha nahin jata 
garche 'qaem' asir-e-dam hun lek 
mujh se ye chahchaha nahin jata
        Ghazal
Dard-e-dil kuchh kaha nahin jata
Qayem Chandpuri

