اردو हिंदी
Dard dil se kabhi juda na hua | Shaahi Shayari
dard dil se kabhi juda na hua

Ghazal

Dard dil se kabhi juda na hua

Kavita Kiran

;

dard dil se kabhi juda na hua
koi hamdard aap sa na hua

un ke hamrah tha tamam safar
tai magar phir bhi rasta na hua

hum bhanwar mein the Dubte hi gae
naKHuda to kabhi KHuda na hua

aap ka gham hai aap se behtar
wo kabhi hum se be-wafa na hua

hain sabhi log shahr ke achchhe
hum se baDh kar koi bura na hua

hum se ruThi rahi 'kiran' lekin
dil to dil se kabhi juda na hua