dar-e-ufuq pe raqam raushni ka bab karen
ye ji mein hai ki sitare ko aaftab karen
nigah mein ghumti phirti hain suraten kya kya
kise KHayal mein laen kise KHarab karen
ye aarzu hai ki phuTen badan ke KHeme se
aur apni zat ke sahra mein raqs-e-ab karen
mere huruf-e-tahajji ki kya majal ki wo
tujhe shumar mein laen tera hisab karen
nahin hai shahr mein koi bhi jagne wala
kise kahen ki chalo sair-e-mahtab karen
falak to gosh-bar-awaz hai magar 'tabish'
na ho zaban hi munh mein to kya KHitab karen
Ghazal
Dar-e-ufuq pe raqam raushni ka bab karen
Abbas Tabish