اردو हिंदी
Dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga | Shaahi Shayari
dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga

Ghazal

Dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga

Muztar Khairabadi

;

dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga
mera haal likhne ke qabil nahin hai agar mil gae to zabani kahunga

lab-e-ju-e-ulfat ramai hai dhuni yahan qissa-e-saKHt-jaani kahunga
idhar aa idhar ruh-e-shirin idhar aa tere kohkan ki kahani kahunga

KHizar tere chashme ka pani hai achchha magar main use mauj-e-fani kahunga
mohabbat ka mara hua dil jila de main tab tere pani ko pani kahunga

teri zat-e-wahid hai bedar mutlaq tujhe to kabhi nind aati nahin hai
teri aankh lagne ki hasrat mein yarab kahan tak main qisse kahani kahunga

wo ek aaina jis mein munh dekhte hain kisi ek ka waqf-e-surat nahin hai
yahin se natija uTha kar dui ka main wahdat ko kasrat ka bani kahunga

ye hasti ka shisha jo tu ne diya hai zara us pe chahat ki saiqal to kar lun
ye ho jae phir apni hasti ko main bhi teri zat ka naqsh-e-sani kahunga

azal hi mein tujh par nazar paD chuki hai na kar mujh se inkar-e-jalwa-numai
tajalli teri go nai raushni hai magar main to is ko purani kahunga

mohabbat mein inkar-e-jalwa-numai zara is tariqe ko tu yaad rakhna
agar main kabhi tere darje pe pahuncha to main bhi yunhi lan-tarani kahunga

main kya bewafa hun jo mahshar mein 'muztar' KHuda se karun shikwa-e-qatl apna
zamana kahe KHun-e-nahaq bahaya agar mujh se puchha to pani kahunga