اردو हिंदी
Dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri | Shaahi Shayari
dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri

Ghazal

Dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri

Muztar Khairabadi

;

dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri
tum aa kar dard ke parde mein kar jao dawa meri

mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de
KHuda mera KHuda hai ya ye murat hai KHuda meri

yahan se jab gai thi tab asar par KHar khae thi
wahan se phul barsati hui palTi dua meri

tu hi kah de ye jism-e-zar mera hai ki tera hai
tu hi kah de ye ruh-e-na-tawan teri hai ya meri

paDa hai tafraqa jis din se kya kya yaad karti hai
udhar mujh ko jafa teri idhar tujh ko wafa meri

muqayyad ho ke lutf-e-hasti-e-azad bhi khoya
wo kya thi ibtida meri ye kya hai intiha meri

wahan jab the to jism-e-na-tawan mein ruh phunki thi
yahan jis din se aae aap ban baiThe qaza meri

miyan-e-hashr ye kafir baDe itrae phirte hain
maza aa jae aise mein agar sun le KHuda meri

kisi ka jalwa-e-rangin ye kahta hai inhen pujo
ye us patthar ke but hain jis pe pisti thi hina meri

na-jaane kaun se yusuf ka jalwa mujh mein pinhan hai
zuleKHa aaj tak karti hai 'muztar' iltija meri