dam-bhar ki KHushi bais-e-azar bhi hogi
is rah mein saya hai to diwar bhi hogi
sadiyon se jahan jis ke taaqub mein rawan hai
wo saat-e-sad-rang giraftar bhi hogi
rangon ki rida oDh ke us reg-e-rawan par
utri hai jo shab wo shab-e-didar bhi hogi
iThlaega palkon pe kabhi subh ka tara
bedar kabhi nargis-e-bimar bhi hogi
kahta hai mere kan mein KHushbu ka payami
munh-band kali mail-e-guftar bhi hogi
sae se lipaT jaenge panw se ba-har-gam
ruswai kuchh apni sar-e-bazar bhi hogi
ai shab na kaTegi tere sine ki siyahi
ek shoKH kiran muft gunahgar bhi hogi
sunte hain ki har subh ke hathon mein 'rashid' ab
zahrab mein Dubi hui talwar mein hogi

Ghazal
Dam-bhar ki KHushi bais-e-azar bhi hogi
Rasheed Qaisrani