dam-ba-dam baDh rahi hai ye kaisi sada shahr walo suno
jaise aae dabe panw sail-e-bala shahr walo suno
KHak uDati na thi is tarah to hawa us ko kya ho gaya
dekho aawaz deta hai ek saneha shahr walo suno
ye jo raaton mein phirta hai tanha bahut hai akela bahut
ho sake to kabhi us ka bhi majra shahr walo suno
ye hamin mein se hai us ke ranj-o-alam us se puchho kabhi
han suno us ki rudad-e-mehr-o-wafa shahr walo suno
us ke ji mein hai kya us se puchho zara dekhen kahta hai kya
kis ne us shaKHs par koh-e-gham Dha diya shahr walo suno
umr bhar ka safar jis ka hasil hai ek lamha-e-muKHtasar
kis ne kya kho diya kis ne kya pa liya shahr walo suno
us ki be-KHwab aankhon mein jhanko kabhi us ko samjho kabhi
us ko bedar rakhta hai kya waqia shahr walo suno
Ghazal
Dam-ba-dam baDh rahi hai ye kaisi sada shahr walo suno
Athar Nafees