dair mein hai wo na kabe mein na but-KHane mein hai
DhunDhta hun jis ko main wo mere kashane mein hai
ye tera husn-e-tasawwur tere kashane mein hai
tu na aabaadi mein hai ghafil na virane mein hai
hai baja-e-KHud zamana bekasi mein mubtala
ab murawwat ka nishan apne na begane mein hai
us ki hasrat dekhiye us ka kaleja dekhiye
raaz jis ki zindagi ka us ke mar jaane mein hai
asl mein ai shama tu hai maKHzan-e-soz-o-gudaz
tujh se jo kuchh bach raha wo soz parwane mein hai
mujh ko jannat se koi matlab na kausar se gharaz
mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai
raushni taron se hoti hai na shamon se ziya
kya zamane ki siyahi mere gham-KHane mein hai
main nahin kahta magar main ne suna hai barha
jannat-ul-firdaus ki ek rah maiKHane mein hai
main jo rota hun to rota hai zamana mere sath
gham zamane-bhar ka 'shaukat' mere afsane mein hai
Ghazal
Dair mein hai wo na kabe mein na but-KHane mein hai
Shaukat Thanvi