اردو हिंदी
Dabe jo aag to dil se dhuan sa uThta hai | Shaahi Shayari
dabe jo aag to dil se dhuan sa uThta hai

Ghazal

Dabe jo aag to dil se dhuan sa uThta hai

Khurshid-ul-islam

;

dabe jo aag to dil se dhuan sa uThta hai
makan ke parde se ek la-makan sa uThta hai

nazar jo Thahre koi dam tere sarape mein
to ang ang se ek karwan sa uThta hai

lahu ka cell ho ya zamzama ho jo kuchh ho
hamare dil se har ek be-karan sa uThta hai

ye teri bazm ki azmat ye us ki virani
ki yan se jo bhi uThe ek jahan sa uThta hai

hamari sham ki saat ki lazzat-e-be-nam
ki jure jure se taKHt-e-rawan sa uThta hai

na puchh tishnagi us shaKHs ki jo baad-e-visal
kisi ke pahlu se yun kaamran sa uThta hai

karishma joshish-e-hasrat ka dekhiye har-su
ki shaKH shaKH se ek aashiyan sa uThta hai