dana-e-gham na mahram-e-raaz-e-hayat hum
dhaDka rahe hain phir bhi dil-e-kaenat hum
han ek nigah-e-lutf ke haqdar the zarur
mana ki the na qabil-e-sad-iltifat hum
bim-e-KHizan se kis ko mafar tha magar nasim
karte rahe gulon se nikharne ki baat hum
ai shama dilbari teri mahfil se bar-ha
le kar uThe hain soz-e-gham-e-kaenat hum
DhunDa kiye hain rah-e-hawas rah-rawan-e-shauq
dekha kiye hain laghzish-e-pa-e-sabaat hum
un ke ghamon ka hae sahaara na puchhiye
kuchh pa gae hain apne ghamon se najat hum
Ghazal
Dana-e-gham na mahram-e-raaz-e-hayat hum
Moin Ahsan Jazbi