daman daraaz kar to rahe ho duaon ke
dhabbe bhi hain nigah mein apni qabaon ke
sine mein soz-e-marg-e-tamanna na puchhiye
marghaT mein jaise uThte hon shoale chitaon ke
hum ne to kashtiyon ko Dubona kiya qubul
mannat-guzar ho na sake na-KHudaon ke
duniya ne un pe chalne ki rahen banai hain
aae nazar jahan bhi nishan mere panw ke
sahra ke KHushk sine se chashma ubal paDa
ragDe lage jo nanhe se bachche ke panw ke
buDha sa ek peD wo ab sahn mein nahin
hum ne uThae faiz sada jis ki chhanw ke
pi lo 'amir' ab mai-e-irfan-o-agahi
kyun jal mein phanse ho majazi KHudaon ke

Ghazal
Daman daraaz kar to rahe ho duaon ke
Mohammad Amir Azam Quraishi