اردو हिंदी
Daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le | Shaahi Shayari
daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le

Ghazal

Daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le

Javed Shaheen

;

daman-e-shab mein chand ka manzar bhi dekh le
sone se pahle kamre se bahar bhi dekh le

in mausamon ki rah mein yun be-KHabar na baiTh
rahta hai kaun kaun safar par bhi dekh le

gum-sum rakhegi tujh ko kahan tak wo ek yaad
munh se haTa ke maili si chadar bhi dekh le

dhundla rahi hai der se sham-e-badan ki lau
koi ghubar sans ke andar bhi dekh le

aabaad zer-e-ab hain Dube hue nagar
yaadon ke paniyon mein utar kar bhi dekh le

fursat mile to khol chhupe KHwahishon ke raaz
gunjaan jangalon se guzar kar bhi dekh le

'shahin' badan bhi zer kiya jaan bhi zer kar
dasht-e-bala se aage samundar bhi dekh le