Dalta adl ki jholi mein syahi kaise
mangta mujh se koi jhuTi gawahi kaise
kya tere jism pe TuTi hai qayamat koi
dafatan aaj meri ruh karahi kaise
jab har ek dard ki zanjir ko kaT jaana hai
phir tera dard hua la-matanahi kaise
kitna be-Dhang tanasub hai mahaz-e-gham par
itne lashkar se laDe ek sipahi kaise
ji raha hun main ghulamon ka hawala ban kar
meri pahchan bane masnad-e-shahi kaise
kis hawale se tha mausam ka sitam peDon par
dur tak phail gai zard tabahi kaise

Ghazal
Dalta adl ki jholi mein syahi kaise
Suraj Narayan